Share it on your social network:

Or you can just copy and share this url

Ingredients

as required Pani (Water)
20-25 Hari mirch (Green chilies)
1 & ½ Cups Chicken strips
1 & ½ tbs Achar gosht masala
¼ Cup Cheddar cheese grated
2 tbs Tabasco sauce
1 Cup Maida (All-purpose flour) or as required
1 Cup Bread crumbs grinded or as required
2 tbs Sirka (Vinegar)
1 tbs Oil
½ tbs Adrak lehsan paste (Ginger garlic paste)
2 tbs Lemon juice
¼ Cup Mozzarella cheese grated
2 tbs Cream cheese
2 Anday (Eggs) beaten
Cooking oil for frying
Honey Mustard Sauce:
½ Cup Mayonnaise
1 tbs Mustard paste
1 tbs Tabasco sauce
2 tbs Shahad (Honey)

Achari Chili Bites

Cuisine:
  • Medium

Ingredients

  • Honey Mustard Sauce:

Directions

Share

Bowl mein pani aur sirka dal dein.

Knife ki madad sa hari mirchon ko slit karein aur beej nikal lein.

Ab hari mirchon ko sirka ka pani mein dal dein aur 30 minutes kliya soak ker lein.

Frying pan mein oil aur chicken dal ker ache tarhan mix ker lein.

Adrak lehsan paste dal dein aur chicken ka rang tabdeel hunay tak ache tarhan mix karein.

Achar gosht masala dal ker ache tarhan mix ker lein.

Lemon juice dal ker mix karein aur sukh janay tak paka lein & side per rakh dein.

Bowl mein cheddar cheese,mozzarella cheese,tabasco sauce aur cream cheese dal ker ache tarhan mix karein & side per rakh dein.

Hari mirch ko kitchen paper/towel ki madad sa pat dry ker lein.

Ab hari mirchon mein cooked achari chicken aur cream & cheese mixture bhar dein.

Maida mein coat karein phir pheetay hoye anday mein dip ker ka bread crumbs mein coat ker lein phir dubara pheetay hoye anday mein dip ker ka bread crumbs mein coat ker lein (Makes 20-25).

Karhai mein cooking oil garam karein aur golden brown hunay tak deep fry ker lein.

2 weeks tak freeze ker saktay han.

For Honey Mustard Sauce:

Bowl mein mayonnaise,tabasco sauce,mustard paste aur shahad dal ker ache tarhan mix ker lein.

Courtesy: Food Fusion

(Visited 357 times, 1 visits today)
previous
Daal Chawal
next
Spanish Omelette
previous
Daal Chawal
next
Spanish Omelette