


2-3 tbs Oil | |
1 medium Pyaz (Onion) chopped | |
0.5 tsp Kali mirch powder (Black pepper powder) | |
1 tsp Lal mirch powder (Red chili powder) | |
4 tbs Hara pyaz (Green onion) chopped | |
2 Hari mirch (Green chilies) chopped | |
Pani (Water) | |
Mozzarella cheese | |
1 tbs Zeera (Cumin seeds) | |
250 gms Chicken boiled & shredded | |
0.5 tsp Garam masala powder (Whole spice powder) | |
1 tsp Namak (Salt) | |
4 tbs Hara dhania (Coriander) chopped | |
2-3 tbs Maida (All-purpose flour) | |
12-15 Samosa sheets | |
Oil for frying |
Karhai mein oil,zeera aur pyaz dal ker translucent hunay tak mix ker lein.
Chicken,kali mirch powder,garam malasa powder,lal mirch powder aur namak ache tarhan mix ker lein.
Hara pyaz,hara dhania aur hari mirch dal ker ache tarhan mix karein aur thanda ker lein.
Maida mein pani dal ker mix karein aur smooth paste tayyar ker lein,side per rakh dein.
Samosa sheet la ker pocket bana lein aur chicken stuffing ko center mein bhar dein aur samosa ki shape bana lein,corners ko maida & pani ka mixture sa seal ker lein.
Samosa sheet la ker pocket bana lein aur chicken stuffing ko center mein bhar dein,mozzarella cheese aur chicken stuffing dal ker samosa ki shape bana lein,corners ko maida & pani ka mixture sa seal ker lein.
Is he tarhan baqi samosay tayyar ker lein (yields: 10-12 samosas).
Yehe produce follow karein aur bite size samosay tayyar ker lein.
Karhai mein oil dal dein aur samosa ko golden brown fry ker lein.
Courtesy: Food Fusion