


0.5 Kg Falsay (Grewia) washed | |
1 kg Cheeni (Sugar) | |
0.25 Cup Lemon juice | |
Ice cubes | |
1 Cup Pani (Water) chilled | |
1 Cup Pani (Water) | |
1 litre Pani (Water) | |
1 & 0.5 tbs Kala namak (Black salt) | |
2 tbs Falsa sharbat (Grewia syrup) |
Pot mein falsay aur pani dal ker ache tarhan mix karein aur 5 minutes kliya paka lein.
Dhak dein aur halki ancch per naram hunay tak paka lein (5-6 minutes).
Ab masher sa ache tarhan mash karein phir strainer ki madad sa strain ker lein aur bech bech mein thora pani daltay rahein,beej ko pheek dein aur side per rakh dein.
Karhai mein cheeni aur pani dal ker ache tarhan mix karein aur cheeni dissolves ho janay aur sheera garha hunay tak paka lein.
Ab paka huwa falsay ka pulp dal ker ache tarhan mix karein aur halki darmiyani ancch per 2-3 minutes kliya paka lein.
Lemon juice aur kala namak dal ker ache tarhan mix karein aur ubal anay ka bad 5-6 minutes kliya paka lein.
Thanda ker lein.
Refrigerator mein 1 month tak store ker saktay han (yields 1.5 litres).
Serving glass mein falsa sharbat,ice cubes aur pani dal dein.
Stir ker ka serve karein.