Ingredients
- 200 g Chicken Bonelesscubes
- 0.25 tsp Saltor to tate
- 0.25 tsp Kali mirch powder (Black pepper powder)
- 1.5 cup water
- 1 tbs cooking oil
- 1 tsp Adrak lehsan paste (Ginger garlic paste)
- 1 medium Shimla mirch (Capsicum)julienne
- 1 medium Pyaz (Onion)sliced
- 0.5 tsp Kali mirch powder (Black pepper powder)
- 0.5 tsp Saltor to taste
- 0.5 tsp Lal mirch (Red chilli)crushed
- 1 tbs Peri peri sauce
- 1 tbs Chilli garlic sauce
- 1 tbs Sirka (Vinegar)
- 2 tsp Soy sauce
- 2 tsp Worcestershire sauce
- 0.25 Cup Mozzarella cheesegrated
- 0.25 Cup Cheddar cheesegrated
- 5 Frozen paratha
- Makhan (Butter)melted
- 1 Anda (Egg)whisked
- cooking oilfrying
Directions
-Sauce pan mein chicken,namak,kali mirch powder aur pani dal dein aur ubal anay ka bad 15 minutes ya chicken gul janay tak boil ker lein phir strain ker ka thanda ker lein. -Haathon ki madad sa chicken shred ker lein & side per rakh dein. -Frying pan mein cooking oil aur adrak lehsan paste dal ker ache tarhan mix karein. -Shredded chicken dal ker ache tarhan mix karein aur ek minute kliya paka lein. -Shimla mirch aur pyaz dal ker ache tarhan mix ker lein. -Kali mirch powder,namak,lal mirch crushed,peri peri sauce,chilli garlic sauce,sirka,soy sauce aur worcestershire sauce dal ker ache tarhan mix karein aur darmiyani ancch per 2 minute kliya paka lein & thanda ker lein. -Mozzarella cheese aur cheddar cheese dal ker ache tarhan mix karein & side per rakh dein. -Working surface per maida chirak dein aur 3 frozen paratha ek,ek ker ka rakh dein aur pani laga ker join ker lein,paratha ki sides ko cut ker lein aur joints ko maida laga ker stick ker lein. -Tayyar chicken filling dal dein,haathon per maida laga lein aur paratha ko fold lein aur pani laga ker seal ker lein. -Same yehe procedure sa baqi 2 aur paratha tayyar ker lein. -Baking tray ko melted butter sa grease karein aur rolled paratha ko spiral shape mein roll ker lein aur dono paratha ko ek dosray ka saath pinch ker ka seal ker lein aur brush ki madad sa melted makhan laga lein. Option # 1: Baking -Preheated oven mein 180 C per 18 minutes kliya bake ker lein phir oven sa nikal lein aur pheeta huwa anda laga lein aur dubara preheated oven mein 180 C per golden brown hunay tak grill ker lein (2-3 minutes). Option # 2: Frying -Chotay size mein roll bana lein. -Frying pan mein cooking oil dal dein aur spiral fajita pie ko darmiyani halki ancch per golden brown hunay tak fry ker lein (2-3 minutes both side). -Salsa ka saath serve karein!