Ingredients
- 1 & ½ Cups Safed atta (White flour) sifted
- 2 tbs Oil
- Cooking oil for frying
- ¼ tsp Namak (Salt)
- ½ Cup Pani (Water)or as required
Directions
Bowl mein safed atta,namak aur oil dal ker ache tarhan mix ker lein.
Thora thora ker ka pani shamil karein aur ghond ker naram dough tayyar ker lein.
Dhak ker 30 minutes kliya rakh dein.
Dough ko dubara oil laga ker ghond lein aur working surface per atta chirak ker dough ko rolling pin ki madad sa bail lein.
Dough ko cutter ki madad sa cut ker lein aur oil sa grease ker lein aur 3 rolled dough per atta chirak dein.
Ek rolled dough per baqi tamam rolled dough rakh dein (4 layers bana lein) aur rolling pin ki madad sa bail lein.
Tawa garam karein aur halki ancch per 30 seconds kliya dono sides sa paka lein phir 4 layers ko alag alag ker lein & thanda ker lein.
Roll aur samosa patti ka sizes mein cutter ki madad sa cut ker lein aur zip lock bag mein rakh ker 3 weeks kliya freeze ker saktay han.
Baqi remaining edges ko cutter sa cut ker lein.
Karhai mein cooking oil garam karein aur golden & crispy hunay tak fry ker lein.