




2 Cups Baisan (Gram flour) sifted | |
1 tsp Dhania (Coriander seeds) roasted & crushed | |
½ tsp Zeera (Cumin seeds) roasted & crushed | |
1 tsp Baking soda | |
1 Leftover chicken tikka | |
Macaroni boiled | |
¼ Cup Cheddar cheese grated | |
Leftover qeema (mince) | |
½ tsp Makhan (Butter) | |
Cooking oil for frying | |
1 & ½ tsp Lal mirch (Red chili) crushed & roasted | |
1 tsp Zeera (Cumin seeds) | |
½ tsp Namak (Salt) | |
1 Cup approx. Pani (Water) | |
Leftover aloo matar gajar | |
Leftover aloo salan | |
1 pinch Kali mirch powder (Black pepper powder) | |
1 pinch Kali mirch powder (Black pepper powder) | |
Anday (Eggs) boiled |
Bowl mein baisan,lal mirch crushed,dhania,zeera,zeera,namak aur baking soda dal ker ache tarhan mix ker lein.
Thora thora ker ka pani shamil karein aur ache tarhan mix ker ka paste tayyar ker lein (desired consistency) & side per rakh dein.
Leftover chicken tikka lein aur bowl mein dal ker shred ker lein.
Ab tayyar batter dal ker ache tarhan mix ker lein.
Karhai mein cooking oil garam karein aur pakora ko golden brown hunay tak fry ker lein.
Leftover aloo matar gajar mein boiled macaroni dal ker ache tarhan mix ker lein.
Ab tayyar batter dal ker ache tarhan mix ker lein.
Karhai mein cooking oil garam karein aur pakora ko golden brown hunay tak fry ker lein.
Leftover aloo ka salan mein sa aloo alag ker lein aur pani sa dho ker kitchen towel sa pat dry ker lein.
Aloo ko masher ki madad sa mash ker lein phir cheddar cheese aur kali mirch powder dal ker ache tarhan mix ker lein.
Mixture ko lein aur ek jaisay sizes ki 11-12 balls tayyar ker lein.
Ab balls ko tayyar pakora batter mein dal ker dip ker lein.
Karhai mein cooking oil garam karein aur balls ko golden brown hunay tak fry ker lein.
Bowl mein leftover qeema,kali mirch powder aur makhan dal ker ache tarhan mix ker lein.
Boiled anday ko bech mein sa cut ker lein aur zardi nikal lein.
Ab boiled anday mein qeema filling bhar dein aur tayyar batter mein dip ker lein.
Karhai mein cooking oil garam karein aur golden brown hunay tak fry ker lein.
Courtesy: Food Fusion